Hello,aap sabhi ne instagram ka naam suna hoga aajkal bohot zyada use hone wala social media plateform hai but aaj bhi instagram ko leker  logo ki soch bani hui hai ki isko sirf rich people use krte hai or bohot se log jo  instagram use krte hai  unko instagram ke bare me zyada jankari nhi hoti vo bus apni pic click krke upload krne se matlab rakhte . Aaj humlog is post ke jariye instagram ko  acche se samjhege  chaliye  shuru krta hu .
Instagram use kerne ke fayde
instagram icon pic




Instagram ki shurwat kab hui


Instagram ki shurwat kevin systrome and mike krieger ne october 2010 me ki the. Starting me isko sirf ios operating system ke liye he nikala gaya tha matlab  jis phone ya computer me ios operating system tha sirf whi log instagram use ker sakte the 

Baad me android version bhi aagya iska  year 2012 me Android version aane ke baad se he instagram ne ase market pakdi hai ki aaj youth ke liye craze  bangya hai instagram 

Keh sakte hai ki instagram ki birthland USA ka san francisco hai qki iski shurwat whi pe kevin systrome and kevin systrome ne ki .
aur instagram facebook ka he product hai islie jab aap instagram ke bare me padhte ho tab usme hamesha Developer me facebook ka naam dekhoge.

Aaj instagram ios, android, window 10 mobile,  window10 jaise operating system pe bhi available hai aur instagram ki ek khass baat hai aap isko kisi bhi social media plateform se easily connect ker sakte ho 






INSTAGRAM KE FEATURES


☆jaisa ki aap log jaante he ho ki instagram ek photo sharing aaplication hai yha aap tarah tarah ke filters laga ke apni pic  attractive banaker share ker sakte ho

☆ instagram per apko ek aur feature milta hai aapki profile public or private kerne ka  chalie samjhte hai ye public/private kya hai 

●ager aapki profile public hai to aapko random log without aapki permission aapko follow ker sakte hai and aapki pics ko like bhi ker sakte hai

●ager aapki profile private hai to without aapki permission koi randomly follow ni ker sakta  nahi aapki pics vo dekh sakta

☆instagram apni pics share kerne ke liye ek best plateform hai qki sath he sath ye aapko quick editing kerne ke  filters provide krta hai jaha aap adjustments bhi ker sakte ho aur easily pic upload ker sakte ho 

☆Iske sath he aap instagram pe story bhi daalsakte ho jo sirf 24 ghante ke liye hoti hai uske baad automatic chali jati hai 

☆instagram se live bhi jaya ja sakta hai aur aajkal instagram pe mostly log live jane ka trend set ker rhe hai

☆instagram pe DM bhi kersakte hai yani direct message ye feature kafi logo ko pta he nhi hota hai

Toh ager in sabhi points ka conclusion nikalu to mai ye keh sakta hu instagram aapko bohot he shandar features de rha hai aap ko bina der kre isko join krna chie 
                                         Qki yaha pics  share krna hai bohot asaan

INSTAGRAM KE FAYDE 

Instagram pure 33 language me available hai aur iske aur bhi alag alag features  hai jaise -location ,hastags

Aisa akser dekha gya ki instagram me twitter aur facebook ke comparison  me aap jaldi followers gain ker sakte ho toh ager aapke man me social media sensation ban ne ka sapna hai to instagram to zarur hona chie aapke phone me qki iske through aap ki fan following jaldi aur kam time me ban sakti hai ager aap banana caho totally aap per depend kerta hai .


INSTAGRAM ME FOLLOWERS GAIN KERNE KE TAREEKE 

Jaisa ki maine uppar bataya ki instagram pe followers gain kerna twitter aur facebook ke comparison me bohot he asaan hai .hum do tarah ke followers gain ker sakte hai

● ORGANIC
●UNORGANIC

maine dono tarah ke followers gain kerne ke tareeke aapko bohot he simple way me is post me bataye hai isko padh ker aur apply krke aap bohot kam samay me instagram king ban sakte hai yha padhe  --
5 simple steps to gain followers on instagram

INSTAGRAM SE POPULAR KAISE HO

Baat aagyi popular kaise ho Jaisa maine aapko btaya aap instagram pe jaldi followers gain ker sakte ho bus aap me chota mota sa koi bhi talent ho ya to aap bohot acchi pics click krte ho yaa bohot acche videos banate ho ya musicaly use kerte ho

3 tareeko se aap ho sakte ho instagram pe popular

● Ager aap bohot he acchi pics click krte ho bohot acche photographer ho ase bohot se log hai instagram pe jo sirf pic daalker sensation bangye

●Aap bohot acche videos daalte ho ji han ager aap bohot acche videos daalte ho  to aap bohot jaldi popularity  gain ker sakte ho ase bohot log hai jinhone gain ki.

●Ya fir aap musicaly champ ho ye bohot he asaan tareeka hai bus musicaly se video banake aapko insta pe daalna hota hai


INSTAGRAM SE POPULAR HUE KUCH INDIAN VINERS KE NAAM .


Ase Bohot se log hai jinke ghar me paise he instagram ki wazh se aare hai jinhone instagram se bohot naam kamaya .


VIDEOS KE THROUGH wse to bohot log hai per mai do logo ka naam lunga ashish chanchlani ,harshbeniwal ne instagram pe bohot popularity gain ki in dono ne initially apna career instagram se shuru kia tha.

PICS KE THROUGH  wse to bohot hai but mai do logo ka naam lunga hazel chaudhary and vasu mittal ne  instagram se bohot naam kamaya


MUSICALY KE THROUGH wse to bohot hai but  ashika bhaita , manjul khattar , aur rishab puri ne musicaly videos banaker bohot naam kamaya

Toh der kis baat ki hai dosto aap bhi apna instagram account banaye aaj hi   toh ye tha hamara post instagram ke bare ager aap ka koi sawal hai ya artical useful laga toh comment krke bataye .